KHanqah-o-dair mein jate hain hum
ḳhānqāh-o-dair meñ jaate haiñ ham
DhūñDhte jo haiñ nahīñ paate haiñ ham
jab se uryānī huā apnā libās
jaame se bāhar hue jaate haiñ ham
aur baḌhtā hai unheñ shauq-e-jafā
aañkh meñ aañsū jo bhar laate haiñ ham
vo jafā kar ke nahīñ hote ḳhajil
yaañ gila karne se sharmāte haiñ ham
ham se baḌh kar koī dīvāna nahīñ
dil se dīvāne ko samjhāte haiñ ham
KHanqah-o-dair mein jate hain hum
DhunDhte jo hain nahin pate hain hum
jab se uryani hua apna libas
jame se bahar hue jate hain hum
aur baDhta hai unhen shauq-e-jafa
aankh mein aansu jo bhar late hain hum
wo jafa kar ke nahin hote KHajil
yan gila karne se sharmate hain hum
hum se baDh kar koi diwana nahin
dil se diwane ko samjhate hain hum
- Book : غزل اس نے چھیڑی (Pg. 94)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا (2017)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.