Khaar hi Khaar de gulab na de
ḳhaar hī ḳhaar de gulāb na de
zindagī tū mujhe sarāb na de
tere chehre kā jis meñ aks na ho
mujh ko aisī koī kitāb na de
ab to bistar ko niiñd aa jaa.e
ab to takiye ko iztirāb na de
apnā maazī baḌā bhayānak hai
shīshagar aa.ine pe aab na de
band kar le jo apnī muTThī meñ
aise hāthoñ meñ āftāb na de
apne 'shahzād' ko hayāt kā ġham
de magar itnā be-hisāb na de
KHar hi KHar de gulab na de
zindagi tu mujhe sarab na de
tere chehre ka jis mein aks na ho
mujh ko aisi koi kitab na de
ab to bistar ko nind aa jae
ab to takiye ko iztirab na de
apna mazi baDa bhayanak hai
shishagar aaine pe aab na de
band kar le jo apni muTThi mein
aise hathon mein aaftab na de
apne 'shahzad' ko hayat ka gham
de magar itna be-hisab na de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.