Khaar ko phul bayaban ko samundar likhna
ḳhaar ko phuul bayābāñ ko samundar likhnā
ham ne sīkhā nahīñ be-kār ke daftar likhnā
muḳhtasar bhī ho mukammal bhī ho ḳhat kā mazmūñ
ham haiñ masrūf zarā soch samajh kar likhnā
tū mire jism kī kālak ko chhuḌā de pahle
phir koī naqsh mirī ruuh ke andar likhnā
ḳhud-ba-ḳhud us se tirā naam ubhar jā.egā
koī gaalī mirī dīvār pe aa kar likhnā
maiñ to banda huuñ mujhe sabr kī yaarī likh de
phir takālīf ḳhudāyā tū mukarrar likhnā
KHar ko phul bayaban ko samundar likhna
hum ne sikha nahin be-kar ke daftar likhna
muKHtasar bhi ho mukammal bhi ho KHat ka mazmun
hum hain masruf zara soch samajh kar likhna
tu mere jism ki kalak ko chhuDa de pahle
phir koi naqsh meri ruh ke andar likhna
KHud-ba-KHud us se tera nam ubhar jaega
koi gali meri diwar pe aa kar likhna
main to banda hun mujhe sabr ki yari likh de
phir takalif KHudaya tu mukarrar likhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.