Khaar ko phul kahen zahr ko phal likhna hai
ḳhaar ko phuul kaheñ zahr ko phal likhnā hai
dil kī taḳhtī pe tirā naam ġhazal likhnā hai
pahle likhnā hai tire pyaar ko sahbā-e-junūñ
phir use dasht-e-ma’ānī meñ saral likhnā hai
ziist ke baab meñ dardoñ kī numā.ish ke liye
zaḳhm ko daaġh kaheñ aaj ko kal likhnā hai
aañkh ke naqsh pe ik ḳhvāb sajā kar terā
dil jo vīrāñ hai use tāj-mahal likhnā hai
zehn ke dar pe udāsī kī siyāhī bhar kar
apne jīvan ko mujhe jām-e-ajal likhnā hai
fikr jab dil ke marākiz se numū pā jaa.e
phir mujhe barf ko aag aag ko jal likhnā hai
ruuh ke pech bhī khulne nahīñ paate haiñ kabhī
us pe ye fikr ki armāñ ko jadal likhnā hai
maiñ nimaT aayā huuñ be-mehrī-e-yārāñ se ki ab
sab kī ranjish ko mukāfāt-e-'amal likhnā hai
'ishq ik āg-e-siyah-rez hai is meñ 'kāvish'
dam-ba-dam khil ke mujhe ḳhud ko kañval likhnā hai
KHar ko phul kahen zahr ko phal likhna hai
dil ki taKHti pe tera nam ghazal likhna hai
pahle likhna hai tere pyar ko sahba-e-junun
phir use dasht-e-ma’ani mein saral likhna hai
zist ke bab mein dardon ki numaish ke liye
zaKHm ko dagh kahen aaj ko kal likhna hai
aankh ke naqsh pe ek KHwab saja kar tera
dil jo viran hai use taj-mahal likhna hai
zehn ke dar pe udasi ki siyahi bhar kar
apne jiwan ko mujhe jam-e-ajal likhna hai
fikr jab dil ke marakiz se numu pa jae
phir mujhe barf ko aag aag ko jal likhna hai
ruh ke pech bhi khulne nahin pate hain kabhi
us pe ye fikr ki arman ko jadal likhna hai
main nimaT aaya hun be-mehri-e-yaran se ki ab
sab ki ranjish ko mukafat-e-'amal likhna hai
'ishq ek aag-e-siyah-rez hai is mein 'kawish'
dam-ba-dam khil ke mujhe KHud ko kanwal likhna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.