Khaar-o-KHas faKHr-e-chaman hain gul-e-KHandan kam hai
ḳhār-o-ḳhas faḳhr-e-chaman haiñ gul-e-ḳhandāñ kam hai
baaġh vīrāna ziyāda hai gulistāñ kam hai
har masīhā ko junūñ jashn-e-masīhā.ī kā
har nafas dard kī tash.hīr hai darmāñ kam hai
bhuul jaate haiñ ki har zaḳhm zabāñ rakhtā hai
sochte haiñ ki mirī teġh numāyāñ kam hai
rahm ai chāra-garāñ hadd-e-rafū se guzre
chaak dāmāñ hai bahut tār-e-garebāñ kam hai
saa.e qātil nazar aate haiñ sadā.eñ dushman
ḳhauf hī ḳhauf hai ḳhatrāt kā irfāñ kam hai
vo na aa.eñ to bane dard kā darmāñ duurī
zulm to ye hai na aane kā bhī imkāñ kam hai
qurb-o-dūrī to faqat vaqt kī majbūrī hai
har ghaḌī aane kā imkāñ hai ye ehsāñ kam hai
KHar-o-KHas faKHr-e-chaman hain gul-e-KHandan kam hai
bagh virana ziyaada hai gulistan kam hai
har masiha ko junun jashn-e-masihai ka
har nafas dard ki tashhir hai darman kam hai
bhul jate hain ki har zaKHm zaban rakhta hai
sochte hain ki meri tegh numayan kam hai
rahm ai chaara-garan hadd-e-rafu se guzre
chaak daman hai bahut tar-e-gareban kam hai
sae qatil nazar aate hain sadaen dushman
KHauf hi KHauf hai KHatraat ka irfan kam hai
wo na aaen to bane dard ka darman duri
zulm to ye hai na aane ka bhi imkan kam hai
qurb-o-duri to faqat waqt ki majburi hai
har ghaDi aane ka imkan hai ye ehsan kam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.