ḳhār-o-ḳhas pheñke chaman ke rāste jaarī kare
bāġhbāñ fasl-e-bahār aane kī tayyārī kare
dil jigar kī yā jigar dil kī azā-dārī kare
ek hī aalam hai kis kī kaun ġham-ḳhvārī kare
mere dard-e-ishq se iizā hai saarī ḳhalq ko
maut behtar hai jab itnā tuul bīmārī kare
naza.a ho lekin na sar ke kūcha-e-mahbūb se
laakh ho behosh par itnī tū hushyārī kare
shāre-e-ulfat ne likkhā hai kitāb-e-ishq meñ
vasl ho yā hijr saarī raat bedārī kare
ai junūñ be-sāḳhta hai āfiyat madd-e-nazar
aisā aalam ho ki aalam is se be-zārī kare
tere jis pahlū meñ baiThe dil jigar haiñ shaad shaad
uTh ga.e kah kar koī kis kī taraf-dārī kare
ishq galiyoñ meñ phire lekin na ho parda-darī
husn parde meñ rahe aur garm bāzārī kare
KHar-o-KHas phenke chaman ke raste jari kare
baghban fasl-e-bahaar aane ki tayyari kare
dil jigar ki ya jigar dil ki aza-dari kare
ek hi aalam hai kis ki kaun gham-KHwari kare
mere dard-e-ishq se iza hai sari KHalq ko
maut behtar hai jab itna tul bimari kare
naza ho lekin na sar ke kucha-e-mahbub se
lakh ho behosh par itni tu hushyari kare
shaare-e-ulfat ne likkha hai kitab-e-ishq mein
wasl ho ya hijr sari raat bedari kare
ai junun be-saKHta hai aafiyat madd-e-nazar
aisa aalam ho ki aalam is se be-zari kare
tere jis pahlu mein baiThe dil jigar hain shad shad
uTh gae kah kar koi kis ki taraf-dari kare
ishq galiyon mein phire lekin na ho parda-dari
husn parde mein rahe aur garm bazari kare
Source :
- Book : Gulistan-e-Rasheed (Pg. ghazal-82 page-86)
- Author : Piyare Sahab Rasheed
- Edition : 1952
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.