Khaar raste mein mere bote ho
ḳhaar raste meñ mere bote ho
haar ġhairoñ ke tum pirote ho
chāñd jalve churā na le jaa.e
aap kyuuñ be-ḳhabar se sote ho
jaan to aap hī ho jaan mirī
duur kab ho qarīb hote ho
kyā kamī hai hamārī chāhat meñ
kūche kūche zalīl hote ho
dil ko mere sukūn miltā hai
aap jab zaar zaar rote ho
KHar raste mein mere bote ho
haar ghairon ke tum pirote ho
chand jalwe chura na le jae
aap kyun be-KHabar se sote ho
jaan to aap hi ho jaan meri
dur kab ho qarib hote ho
kya kami hai hamari chahat mein
kuche kuche zalil hote ho
dil ko mere sukun milta hai
aap jab zar zar rote ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.