KHatir-e-haal madarat nahin ki jaegi
ḳhātir-e-hāl madārat nahīñ kī jā.egī
ham se is taur mohabbat nahīñ kī jā.egī
ro.eñge sīna-e-aflāk ke chaak hone tak
is qadar ham se muravvat nahīñ kī jā.egī
kis tarah ḳhvāb kā imkān-e-ziyāñ kam hogā
aap se kashf-o-karāmat nahīñ kī jā.egī
sānehe ḳhaak ne phir bāñdhe mire dāman se
dil se is darja sa.ūbat nahīñ kī jā.egī
ham riyā-kār-e-zamāna haiñ magar zinda haiñ
raushnī terī hazīmat nahīñ kī jā.egī
terī ruḳhsat ke samay ham ye khaḌe sochte haiñ
hālat-e-hijr to ruḳhsat nahīñ kī jā.egī
is mulāqāt pe ik faisla ho jaane do
baat bā-tarz-e-rivāyat nahīñ kī jā.egī
KHatir-e-haal madarat nahin ki jaegi
hum se is taur mohabbat nahin ki jaegi
roenge sina-e-aflak ke chaak hone tak
is qadar hum se murawwat nahin ki jaegi
kis tarah KHwab ka imkan-e-ziyan kam hoga
aap se kashf-o-karamat nahin ki jaegi
sanehe KHak ne phir bandhe mere daman se
dil se is darja saubat nahin ki jaegi
hum riya-kar-e-zamana hain magar zinda hain
raushni teri hazimat nahin ki jaegi
teri ruKHsat ke samay hum ye khaDe sochte hain
haalat-e-hijr to ruKHsat nahin ki jaegi
is mulaqat pe ek faisla ho jaane do
baat ba-tarz-e-riwayat nahin ki jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.