KHatir se ghubar dho gae hum
ḳhātir se ġhubār dho ga.e ham
jitnā ki hañse the ro ga.e ham
jab dekhā nigāh-e-mahr se yaar
jiyūñ zarra kuchh aur ho ga.e ham
ġhaflat pe na hone paa.e hoshyār
Tuk aañkh khulī ki so ga.e ham
tujh ishq ke soz meñ sarāpā
jiyūñ sham-e-gudāz ho ga.e ham
is bahr pe ro ke misl-e-nīsāñ
go apnā nishāñ Dubo ga.e ham
ai ishq ba-qaul-e-'dard' sach hai
kuchh laa.e na the ki kho ga.e ham
KHatir se ghubar dho gae hum
jitna ki hanse the ro gae hum
jab dekha nigah-e-mahr se yar
jiyun zarra kuchh aur ho gae hum
ghaflat pe na hone pae hoshyar
Tuk aankh khuli ki so gae hum
tujh ishq ke soz mein sarapa
jiyun sham-e-gudaz ho gae hum
is bahr pe ro ke misl-e-nisan
go apna nishan Dubo gae hum
ai ishq ba-qaul-e-'dard' sach hai
kuchh lae na the ki kho gae hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.