KHabar bhi hai kahan par aa gae ho
ḳhabar bhī hai kahāñ par aa ga.e ho
shikārī ke nishāñ par aa ga.e ho
tumheñ is pyaas ne aġhvā kiyā hai
lagā bahr-e-ravāñ par aa ga.e ho
kisī ne aaj pūchhā 'ishq kyā hai
achānak tum zabāñ par aa ga.e ho
koī ummīd mat rakhnā yahāñ par
asīrī ke makāñ par aa ga.e ho
KHabar bhi hai kahan par aa gae ho
shikari ke nishan par aa gae ho
tumhein is pyas ne aghwa kiya hai
laga bahr-e-rawan par aa gae ho
kisi ne aaj puchha 'ishq kya hai
achanak tum zaban par aa gae ho
koi ummid mat rakhna yahan par
asiri ke makan par aa gae ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.