KHabar bhi hai ye KHirad aag ke putle junun ke zer-e-asar rahe hain
ḳhabar bhī hai ye ḳhirad aag ke putle junūñ ke zer-e-asar rahe haiñ
saroñ pe sūraj uThāne vaale ḳhud apne saa.e se Dar rahe haiñ
sukūñ se marte haiñ marne vaale jinheñ ujāloñ kī hai tamannā
yahī bahut hai ki sū-e-maqtal charāġh-e-shām-o-sahar rahe haiñ
unheñ bharosa do zindagī kā jinheñ mohabbat hai zindagī se
ajal ke ham naqsh-e-pā pe chal kar fanā kī had se guzar rahe haiñ
rah-e-vafā meñ jo baḌh chuke haiñ vo paañv pīchhe na haT sakeñge
tum apne hadd-e-sitam se guzro hameñ jo karnā hai kar rahe haiñ
bajā.e zahrāb kis ne saaqī bhare haiñ amrit se jām-o-sāġhar
ki log āb-e-hayāt pī kar qazā se pahle hī mar rahe haiñ
KHabar bhi hai ye KHirad aag ke putle junun ke zer-e-asar rahe hain
saron pe suraj uThane wale KHud apne sae se Dar rahe hain
sukun se marte hain marne wale jinhen ujalon ki hai tamanna
yahi bahut hai ki su-e-maqtal charagh-e-sham-o-sahar rahe hain
unhen bharosa do zindagi ka jinhen mohabbat hai zindagi se
ajal ke hum naqsh-e-pa pe chal kar fana ki had se guzar rahe hain
rah-e-wafa mein jo baDh chuke hain wo panw pichhe na haT sakenge
tum apne hadd-e-sitam se guzro hamein jo karna hai kar rahe hain
bajae zahrab kis ne saqi bhare hain amrit se jam-o-saghar
ki log aab-e-hayat pi kar qaza se pahle hi mar rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.