KHabar dhaDkanon se ye maine suni hai
ḳhabar dhaḌkanoñ se ye maiñ ne sunī hai
mire dil ne terī mohabbat chunī hai
ġhazal jo mire lab pe hai aaj aa.ī
ye ulfat ke dhāgoñ se maiñ ne bunī hai
chaḌhā hai mohabbat kā rañg terī aisā
ki jaisā chaḌhā koī rañg phāgunī hai
bhulāne kī tujh ko zarā kī jo koshish
tirī yaad aa.ī mujhe sau gunī hai
tapasyā meñ rahtā hai ye liin terī
'sikhar' kā ye dil koī sādhū munī hai
KHabar dhaDkanon se ye main ne suni hai
mere dil ne teri mohabbat chuni hai
ghazal jo mere lab pe hai aaj aai
ye ulfat ke dhagon se main ne buni hai
chaDha hai mohabbat ka rang teri aisa
ki jaisa chaDha koi rang phaguni hai
bhulane ki tujh ko zara ki jo koshish
teri yaad aai mujhe sau guni hai
tapasya mein rahta hai ye lin teri
'sikhar' ka ye dil koi sadhu muni hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.