Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHabar hai mahrumiyon se aage nikal chuka hai

Jaani Lakhnavi

KHabar hai mahrumiyon se aage nikal chuka hai

Jaani Lakhnavi

MORE BYJaani Lakhnavi

    ḳhabar hai mahrūmiyoñ se aage nikal chukā hai

    faqīr vīrāniyoñ se aage nikal chukā hai

    hameñ ye tākīd ga.ī hai ki hañste rahiye

    so qahqaha siskiyoñ se aage nikal chukā hai

    ye kis ta.āqub meñ bujh rahī haiñ hamārī āñkheñ

    ye kaun bīnā.iyoñ se aage nikal chukā hai

    maqām-e-hairat pe aql pahuñchī khulā muamma

    qayās hairāniyoñ se aage nikal chukā hai

    havās mahloñ meñ aaj qindīl jal bujhī haiñ

    pa ik diyā āñdhiyoñ se aage nikal chukā hai

    ai sho.abda-gar ḳhabar hai tujh ko ki sho.abada-bīñ

    tire tamāshā.iyoñ se aage nikal chukā hai

    tabīb āb-e-hayāt laa.e haiñ kaasa bhar lo

    marīz āsāniyoñ se aage nikal chukā hai

    qafas meñ rah kar lagā hai aise beḌiyoñ se

    asiir āzadiyoñ se aage nikal chukā hai

    bayān ke jangaloñ meñ jis ko talāshte ho

    vo zabt vādiyoñ se aage nikal chukā hai

    suḳhan-salāḳheñ bhī zang-ālūd ho chukī haiñ

    shu.ūr bhī qāfiyoñ se aage nikal chukā hai

    fanā bai'at meñ aa chukā hai junūn-e-'jānī'

    baqā ke ab zāviyoñ se aage nikal chukā hai

    KHabar hai mahrumiyon se aage nikal chuka hai

    faqir viraniyon se aage nikal chuka hai

    hamein ye takid ki gai hai ki hanste rahiye

    so qahqaha siskiyon se aage nikal chuka hai

    ye kis taaqub mein bujh rahi hain hamari aankhen

    ye kaun binaiyon se aage nikal chuka hai

    maqam-e-hairat pe aql pahunchi khula muamma

    qayas hairaniyon se aage nikal chuka hai

    hawas mahlon mein aaj qindil jal bujhi hain

    pa ek diya aandhiyon se aage nikal chuka hai

    ai shoabda-gar KHabar hai tujh ko ki shoabada-bin

    tere tamashaiyon se aage nikal chuka hai

    tabib aab-e-hayat lae hain kasa bhar lo

    mariz aasaniyon se aage nikal chuka hai

    qafas mein rah kar laga hai ji aise beDiyon se

    asir aazadiyon se aage nikal chuka hai

    bayan ke jangalon mein jis ko talashte ho

    wo zabt ki wadiyon se aage nikal chuka hai

    suKHan-salaKHen bhi zang-alud ho chuki hain

    shuur bhi qafiyon se aage nikal chuka hai

    fana ki bai'at mein aa chuka hai junun-e-'jaani'

    baqa ke ab zawiyon se aage nikal chuka hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now