KHabar kahan thi mere ilm-e-iktisabi ko
ḳhabar kahāñ thī mire ilm-e-iktisābī ko
kitāb-e-dil hai bahut haq kī bāzyābī ko
vo zabt-e-shauq jo buniyād-e-zabt-e-mai-ḳhāna
usī kā hosh na saaqī ko na sharābī ko
abhī kahāñ hai mire zaḳhm-e-dil kī vo rangat
gulāb dekh ke jal jaa.e jis gulābī ko
ḳhudā ke sāmne insān kī taraf-dārī
aziiz rakhtā hai dil apnī is ḳharābī ko
ġhazal ko Dar hai ki zinda na dafn ho 'pinhāñ'
sazā mile na sadāqat kī be-hijābī ko
KHabar kahan thi mere ilm-e-iktisabi ko
kitab-e-dil hai bahut haq ki bazyabi ko
wo zabt-e-shauq jo buniyaad-e-zabt-e-mai-KHana
usi ka hosh na saqi ko na sharabi ko
abhi kahan hai mere zaKHm-e-dil ki wo rangat
gulab dekh ke jal jae jis gulabi ko
KHuda ke samne insan ki taraf-dari
aziz rakhta hai dil apni is KHarabi ko
ghazal ko Dar hai ki zinda na dafn ho 'pinhan'
saza mile na sadaqat ki be-hijabi ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.