KHabar mili ki hamein wo bhulae baiThe hain
ḳhabar milī ki hameñ vo bhulā.e baiThe haiñ
ham apnā tab se kaleja dabā.e baiThe haiñ
bahut udaas hai us vaqt se ye dil merā
sunā hai jab se vo mehñdī lagā.e baiThe haiñ
tumhāre aane kī ummīd kā charāġh liye
tumhārī raah meñ palkeñ bichhā.e baiThe haiñ
unheñ ḳhabar huī aane kī mere tab se vo
ik āsmān sā sar pe uThā.e baiThe haiñ
zarā idhar bhī ho ik chashm-e-iltifāt tirī
divāne dar pe tire sar jhukā.e baiThe haiñ
baġhair tere chamak hī nahīñ hai mahfil meñ
charāġh jitne the ham sab jalā.e baiThe haiñ
mizāj un kā abhī tak nahīñ samajh paa.e
'taqī' vo chehre kā ruḳh kyoñ ghumā.e baiThe haiñ
KHabar mili ki hamein wo bhulae baiThe hain
hum apna tab se kaleja dabae baiThe hain
bahut udas hai us waqt se ye dil mera
suna hai jab se wo mehndi lagae baiThe hain
tumhaare aane ki ummid ka charagh liye
tumhaari rah mein palken bichhae baiThe hain
unhen KHabar hui aane ki mere tab se wo
ek aasman sa sar pe uThae baiThe hain
zara idhar bhi ho ek chashm-e-iltifat teri
diwane dar pe tere sar jhukae baiThe hain
baghair tere chamak hi nahin hai mahfil mein
charagh jitne the hum sab jalae baiThe hain
mizaj un ka abhi tak nahin samajh pae
'taqi' wo chehre ka ruKH kyon ghumae baiThe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.