KHabar nahin ki koi kis ke intiKHab mein hai
ḳhabar nahīñ ki koī kis ke intiḳhāb meñ hai
magar jo shaḳhs kal ubhregā mere ḳhvāb meñ hai
jahān vāloñ ke lākhoñ idhar udhar ke javāb
hayāt kā to savāl aadmī ke baab meñ hai
hameñ na ghertī shāyad ye chār-dīvārī
magar ye ḳhaak jo is ālam-e-ḳharāb meñ hai
ḳhud apne par jo ga.e haiñ vo tifl kaun se haiñ
vo nasl kaisī hai jis kā jahāñ azaab meñ hai
na.e jahān ke me.amār pahle guzreñge
phir us ke baad vo duniyā jo sirf ḳhvāb meñ hai
ajab se naqsh maiñ dīvār-o-dar pe dekhtā huuñ
bas aane vaale haiñ jin kā suḳhan kitāb meñ hai
KHabar nahin ki koi kis ke intiKHab mein hai
magar jo shaKHs kal ubhrega mere KHwab mein hai
jahan walon ke lakhon idhar udhar ke jawab
hayat ka to sawal aadmi ke bab mein hai
hamein na gherti shayad ye chaar-diwari
magar ye KHak jo is aalam-e-KHarab mein hai
KHud apne par jo gae hain wo tifl kaun se hain
wo nasl kaisi hai jis ka jahan azab mein hai
nae jahan ke meamar pahle guzrenge
phir us ke baad wo duniya jo sirf KHwab mein hai
ajab se naqsh main diwar-o-dar pe dekhta hun
bas aane wale hain jin ka suKHan kitab mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.