KHabar pahunchi unhen bhi kab bahaar-e-hashr-saman ki
ḳhabar pahuñchī unheñ bhī kab bahār-e-hashr-sāmāñ kī
fazā meñ dhajjiyāñ jab uḌ chukīñ jaib-o-garebāñ kī
unheñ uljhā diyā kitnā kisī ke dast-e-vahshat ne
pareshānī pata detī hai ye zulf-e-pareshāñ kī
vo husn-e-āfat-e-dīñ ab na.ī saj-dhaj se niklā hai
ilāhī ḳhair taqvā kī ilāhī ḳhair īmāñ kī
na pahuñchā un ke dāman tak to mil jā.egā miTTī meñ
ilāhī aabrū rakh le sarishk-e-chashm-e-giryāñ kī
mazāq-e-narm ho kuchh bhī use apnī hī dhun pyārī
bhalā is daur meñ kyā qadr ho aise ġhazal-ḳhvāñ kī
ulajhte haiñ agar kāñTe to 'ārif' tum ulajhne do
junūñ meñ fikr hī kyoñ ho qabā ke jeb-o-dāmāñ kī
KHabar pahunchi unhen bhi kab bahaar-e-hashr-saman ki
faza mein dhajjiyan jab uD chukin jaib-o-gareban ki
unhen uljha diya kitna kisi ke dast-e-wahshat ne
pareshani pata deti hai ye zulf-e-pareshan ki
wo husn-e-afat-e-din ab nai saj-dhaj se nikla hai
ilahi KHair taqwa ki ilahi KHair iman ki
na pahuncha un ke daman tak to mil jaega miTTi mein
ilahi aabru rakh le sarishk-e-chashm-e-giryan ki
mazaq-e-narm ho kuchh bhi use apni hi dhun pyari
bhala is daur mein kya qadr ho aise ghazal-KHwan ki
ulajhte hain agar kanTe to 'arif' tum ulajhne do
junun mein fikr hi kyon ho qaba ke jeb-o-daman ki
- Book : متاع دل و جاں (Pg. 103)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.