KHabar un ko na ho kuchh bhi hamein taskin bhi mil jae
ḳhabar un ko na ho kuchh bhī hameñ taskīñ bhī mil jaa.e
sabā ai kaash un kī zulf se nik.hat churā laa.e
kisī ko to mile tāza-o-tar phūloñ ke gul-daste
magar ham ne to murjhā.e hue gul bhī nahīñ paa.e
hamīñ tishna rahe mai-ḳhāna-e-hastī meñ ai saaqī
janāb-e-shaiḳh ne masjid meñ sāġhar ḳhuub chhalkā.e
farozāñ hai matā-e-ārzū jis ke ḳhayāloñ se
tasavvur meñ haiñ us zohra-jabīñ ke ḳhush-numā saa.e
mohabbat rang laatī hī rahī bāġh-e-tamannā meñ
chaman meñ jis kalī ko ham ne dekhā aap yaad aa.e
guzar jā.ūñgā duniyā se 'razā' maiñ be-niyāzāna
kise mālūm hai tum tak na aa.e yā ḳhabar aa.e
KHabar un ko na ho kuchh bhi hamein taskin bhi mil jae
saba ai kash un ki zulf se nikhat chura lae
kisi ko to mile taza-o-tar phulon ke gul-daste
magar hum ne to murjhae hue gul bhi nahin pae
hamin tishna rahe mai-KHana-e-hasti mein ai saqi
janab-e-shaiKH ne masjid mein saghar KHub chhalkae
farozan hai mata-e-arzu jis ke KHayalon se
tasawwur mein hain us zohra-jabin ke KHush-numa sae
mohabbat rang lati hi rahi bagh-e-tamanna mein
chaman mein jis kali ko hum ne dekha aap yaad aae
guzar jaunga duniya se 'raza' main be-niyazana
kise malum hai tum tak na aae ya KHabar aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.