KHabar ye mili thi jafa masala hai
ḳhabar ye milī thī jafā mas.ala hai
magar dekhtā huuñ anā mas.ala hai
miyāñ ishq to hai balā kā hai lekin
vo jis se hai us kī razā mas.ala hai
mujhe maut se Dar nahīñ lagtā lekin
namāzeñ huī haiñ qazā mas.ala hai
tumheñ mil gayā hai binā māñge hī sab
tumhāre liye to duā mas.ala hai
charāġhoñ kī koī shikāyat na karnā
havā aag meñ thī havā mas.ala hai
na be-rozgārī na ġhurbat na nashsha
abhī ishq sab se baḌā mas.ala hai
judā.ī pe dhaḌkan ko sambhāl letā
magar saañs kā ai ḳhudā mas.ala hai
yahāñ aur koī ḳharābī nahīñ yaar
tirī duniyā meñ bas vafā mas.ala hai
KHabar ye mili thi jafa masala hai
magar dekhta hun ana masala hai
miyan ishq to hai bala ka hai lekin
wo jis se hai us ki raza masala hai
mujhe maut se Dar nahin lagta lekin
namazen hui hain qaza masala hai
tumhein mil gaya hai bina mange hi sab
tumhaare liye to dua masala hai
charaghon ki koi shikayat na karna
hawa aag mein thi hawa masala hai
na be-rozgari na ghurbat na nashsha
abhi ishq sab se baDa masala hai
judai pe dhaDkan ko sambhaal leta
magar sans ka ai KHuda masala hai
yahan aur koi KHarabi nahin yar
teri duniya mein bas wafa masala hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.