khaDa hun dhup mein sae ki justuju bhi nahin
khaḌā huuñ dhuup meñ saa.e kī justujū bhī nahīñ
ye kyā sitam hai ki ab terī aarzū bhī nahīñ
mujhe to aaj bhī tujh par yaqīn hai lekin
tire dayār meñ insāñ kī aabrū bhī nahīñ
abhī to mai-kada vīrāñ dikhā.ī detā hai
abhī to vajd meñ paimāna-o-subū bhī nahīñ
tirī nigāh meñ chāhat kahāñ talāsh karūñ
tirī sarisht meñ shāyad vafā kī ḳhū bhī nahīñ
bas ik ta.alluq-e-ḳhātir kā paas hai varna
to ḳhūb-rū sahī par itnā ḳhūb-rū bhī nahīñ
chamak uThe na tire ruḳh pe dāġh-e-rusvā.ī
ye chaak vo hai ki sharminda-e-rafū bhī nahīñ
yaqīn jaan ki terā vajūd hai mujh se
ye maan le ki agar maiñ nahīñ to tū bhī nahīñ
khaDa hun dhup mein sae ki justuju bhi nahin
ye kya sitam hai ki ab teri aarzu bhi nahin
mujhe to aaj bhi tujh par yaqin hai lekin
tere dayar mein insan ki aabru bhi nahin
abhi to mai-kada viran dikhai deta hai
abhi to wajd mein paimana-o-subu bhi nahin
teri nigah mein chahat kahan talash karun
teri sarisht mein shayad wafa ki KHu bhi nahin
bas ek talluq-e-KHatir ka pas hai warna
to KHub-ru sahi par itna KHub-ru bhi nahin
chamak uThe na tere ruKH pe dagh-e-ruswai
ye chaak wo hai ki sharminda-e-rafu bhi nahin
yaqin jaan ki tera wajud hai mujh se
ye man le ki agar main nahin to tu bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.