khaDe hue hain azizan alag tabib alag
khaḌe hue haiñ azīzāñ alag tabīb alag
ki hone vaale haiñ ham sab se anqarīb alag
sutūn-e-dār kī mānind jism baḌhte ga.e
badan se ho hī na paa.ī kabhī salīb alag
gulāb ham se alāhida hai aur bahut chup hai
ḳhamoshī baiThī hai gulshan meñ andalīb alag
alag alag koī tanhā.ī baañT jaatā hai
koī bichhaḌ ke alag hai koī qarīb alag
jame hue haiñ ki paañv ukhāḌ deñ mere
ye be-adab mire afsar alag adiib alag
'farīdī' ruuTh ga.e haiñ hamāre sab shab-o-roz
hameñ satāte haiñ dushman alag habīb alag
khaDe hue hain azizan alag tabib alag
ki hone wale hain hum sab se anqarib alag
sutun-e-dar ki manind jism baDhte gae
badan se ho hi na pai kabhi salib alag
gulab hum se alahida hai aur bahut chup hai
KHamoshi baiThi hai gulshan mein andalib alag
alag alag koi tanhai banT jata hai
koi bichhaD ke alag hai koi qarib alag
jame hue hain ki panw ukhaD den mere
ye be-adab mere afsar alag adib alag
'faridi' ruTh gae hain hamare sab shab-o-roz
hamein satate hain dushman alag habib alag
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.