KHafa hai koi kisi se na koi bad-zan hai
ḳhafā hai koī kisī se na koī bad-zan hai
har ek shaḳhs yahāñ aap apnā dushman hai
kisī ġharīb kā ghar hai bas aur kyā kahiye
ye merā dil jo sabhī āfatoñ kā maskan hai
vo zindagī jise ḳhūn-e-jigar diyā maiñ ne
vo zindagī to mire naam se bhī bad-zan hai
ḳhudā kā shukr hai ġham kī havāoñ meñ bhī 'rafī.a'
charāġh-e-zīst bahar-hāl aaj raushan hai
KHafa hai koi kisi se na koi bad-zan hai
har ek shaKHs yahan aap apna dushman hai
kisi gharib ka ghar hai bas aur kya kahiye
ye mera dil jo sabhi aafaton ka maskan hai
wo zindagi jise KHun-e-jigar diya main ne
wo zindagi to mere nam se bhi bad-zan hai
KHuda ka shukr hai gham ki hawaon mein bhi 'rafia'
charagh-e-zist bahar-haal aaj raushan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.