KHafa sayyaad barham baghban malum hota hai
ḳhafā sayyād barham bāġhbāñ ma.alūm hotā hai
bahut jald ab to chhuTte gulistāñ ma.alūm hotā hai
sharīk-e-ranj-o-ġham dard-e-nihāñ ma.alūm hotā hai
mohabbat meñ yahī rāhat-rasāñ ma.alūm hotā hai
koī mehr-o-vafā kā naam tak bhī ab nahīñ letā
ajab badlā huā rang-e-jahāñ ma.alūm hotā hai
maze meñ umr kaTtī hai koī shar hai na fitna hai
hameñ to mai-kada dār-ul-amāñ ma.alūm hotā hai
tamanna hasrat-o-armān jaise ho ga.e ruḳhsat
dil-e-nākām ik vīrāñ makāñ ma.alūm hotā hai
kaleja khiñch ke aa jā.egā ik din dekhnā bāhar
yahī anjām-e-fariyād-o-fuġhāñ ma.alūm hotā hai
samajh meñ kuchh nahīñ aatā hai kyā mafhūm hai is kā
muamma ek qāsid kā bayāñ ma.alūm hotā hai
muhayyā kaise kaise aish ke ishrat ke sāmāñ haiñ
ye mai-ḳhāna to ab jannat-nishāñ ma.alūm hotā hai
kahāñ kā vāsta rasm-e-mohabbat dostī kaisī
hamārā zikr tak un ko girāñ ma.alūm hotā hai
tumhārī hazrat-e-vā.iz dil-āzārī na jā.egī
ye zohd-o-ittiqā sab rā.egāñ ma.alūm hotā hai
asar ulTā hī hotā hai har ik tadbīr-o-darmāñ kā
har ik zarra yahāñ īzā-rasāñ ma.alūm hotā hai
qarīna to batātā hai yahī hai kūcha-e-qātil
har ik zarra yahāñ īzā-rasāñ ma.alūm hotā hai
mohabbat meñ hazāroñ marhale dushvār jhele haiñ
hameñ ik khel jaur-e-āsmāñ ma.alūm hotā hai
huī hai kyā ināyat barq kī mere nasheman par
chaman se aaj kuchh uThtā dhuāñ ma.alūm hotā hai
kabhī bhūle se ab dil meñ tasavvur tak nahīñ aatā
ḳhayāl un kā bhī mujh se bad-gumāñ ma.alūm hotā hai
asīrī meñ chaman kī yaad se taskīn hotī hai
tasavvur meñ qafas bhī gulsitāñ ma.alūm hotā hai
sahe ranj-o-alam itne tabī.at ho ga.ī ḳhūgar
hameñ ab ġham nishāt-e-jāvedāñ ma.alūm hotā hai
patā to aur kuchh miltā nahīñ hai dil kā pahlū meñ
magar haañ ek dhuñdlā sā nishāñ ma.alūm hotā hai
ḳhayāl-e-ḳhām hai ai dil natīja kuchh na niklegā
visāl-e-yār ik vahm-o-gumāñ ma.alūm hotā hai
ḳhudā hī laaj rakkhe aabrū rah jaa.e ulfat meñ
bahut hī saḳht ham ko imtihāñ ma.alūm hotā hai
ġham-e-jānāñ ne aa kar dil pe qabza kar liyā apnā
bahut hī be-takalluf mehmāñ ma.alūm hotā hai
ḳhudā jaane javāb-e-ḳhat meñ kyā likh kar ke aaya hai
ba-zāhir nāma-bar to shādmāñ ma.alūm hotā hai
tarīq-e-ishq meñ sab diqqateñ dil kī badaulat haiñ
yahī is raah meñ sang-e-girāñ ma.alūm hotā hai
ye sabr-o-zabt ye himmat dil-e-mahjūr kyā kahnā
musībat meñ bhī har dam shādmāñ ma.alūm hotā hai
bharosā kis pe ho 'ishrat' shikāyat ham kareñ kis kī
hameñ dil bhī sharīk-e-dushmanāñ ma.alūm hotā hai
KHafa sayyaad barham baghban malum hota hai
bahut jald ab to chhuTte gulistan malum hota hai
sharik-e-ranj-o-gham dard-e-nihan malum hota hai
mohabbat mein yahi rahat-rasan malum hota hai
koi mehr-o-wafa ka nam tak bhi ab nahin leta
ajab badla hua rang-e-jahan malum hota hai
maze mein umr kaTti hai koi shar hai na fitna hai
hamein to mai-kada dar-ul-aman malum hota hai
tamanna hasrat-o-arman jaise ho gae ruKHsat
dil-e-nakaam ek viran makan malum hota hai
kaleja khinch ke aa jaega ek din dekhna bahar
yahi anjam-e-fariyaad-o-fughan malum hota hai
samajh mein kuchh nahin aata hai kya mafhum hai is ka
muamma ek qasid ka bayan malum hota hai
muhayya kaise kaise aish ke ishrat ke saman hain
ye mai-KHana to ab jannat-nishan malum hota hai
kahan ka wasta rasm-e-mohabbat dosti kaisi
hamara zikr tak un ko giran malum hota hai
tumhaari hazrat-e-waiz dil-azari na jaegi
ye zohd-o-ittiqa sab raegan malum hota hai
asar ulTa hi hota hai har ek tadbir-o-darman ka
har ek zarra yahan iza-rasan malum hota hai
qarina to batata hai yahi hai kucha-e-qatil
har ek zarra yahan iza-rasan malum hota hai
mohabbat mein hazaron marhale dushwar jhele hain
hamein ek khel jaur-e-asman malum hota hai
hui hai kya inayat barq ki mere nasheman par
chaman se aaj kuchh uThta dhuan malum hota hai
kabhi bhule se ab dil mein tasawwur tak nahin aata
KHayal un ka bhi mujh se bad-guman malum hota hai
asiri mein chaman ki yaad se taskin hoti hai
tasawwur mein qafas bhi gulsitan malum hota hai
sahe ranj-o-alam itne tabiat ho gai KHugar
hamein ab gham nishat-e-jawedan malum hota hai
pata to aur kuchh milta nahin hai dil ka pahlu mein
magar han ek dhundla sa nishan malum hota hai
KHayal-e-KHam hai ai dil natija kuchh na niklega
visal-e-yar ek wahm-o-guman malum hota hai
KHuda hi laj rakkhe aabru rah jae ulfat mein
bahut hi saKHt hum ko imtihan malum hota hai
gham-e-jaanan ne aa kar dil pe qabza kar liya apna
bahut hi be-takalluf mehman malum hota hai
KHuda jaane jawab-e-KHat mein kya likh kar ke aaya hai
ba-zahir nama-bar to shadman malum hota hai
tariq-e-ishq mein sab diqqaten dil ki badaulat hain
yahi is rah mein sang-e-giran malum hota hai
ye sabr-o-zabt ye himmat dil-e-mahjur kya kahna
musibat mein bhi har dam shadman malum hota hai
bharosa kis pe ho 'ishrat' shikayat hum karen kis ki
hamein dil bhi sharik-e-dushmanan malum hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.