KHafif lab pe tabassum ruka ruka sa lage
ḳhafīf lab pe tabassum rukā rukā sā lage
ki koī ġhuncha-e-nau-ras khilā khilā sā lage
jidhar bhī dekhiye sab kuchh bhalā bhalā sā lage
ye tajraba to ajab hī nayā nayā sā lage
vo jab ruke to zamāne kī chaal baḌh jaa.e
vo jab chale to zamāna rukā rukā sā lage
akaḌ ke baat kare jab zamīñ se baat kare
vo āsmān jo har-sū jhukā jhukā sā lage
tire bhī shahr-e-tamannā meñ aag lag jaa.e
mirā jo ālam-e-imkāñ bujhā bujhā sā lage
jo raat aa.e vo sahmī huī sī raat aa.e
jo aa.e din to vo din bhī Darā Darā sā lage
haiñ saath saath magar dil judā judā le kar
vo ek ghar jahāñ āñgan baTā baTā sā lage
jise samajhte ho bharpūr zindagī se 'fahīm'
qarīb jaao to kitnā luTā luTā sā lage
KHafif lab pe tabassum ruka ruka sa lage
ki koi ghuncha-e-nau-ras khila khila sa lage
jidhar bhi dekhiye sab kuchh bhala bhala sa lage
ye tajraba to ajab hi naya naya sa lage
wo jab ruke to zamane ki chaal baDh jae
wo jab chale to zamana ruka ruka sa lage
akaD ke baat kare jab zamin se baat kare
wo aasman jo har-su jhuka jhuka sa lage
tere bhi shahr-e-tamanna mein aag lag jae
mera jo aalam-e-imkan bujha bujha sa lage
jo raat aae wo sahmi hui si raat aae
jo aae din to wo din bhi Dara Dara sa lage
hain sath sath magar dil juda juda le kar
wo ek ghar jahan aangan baTa baTa sa lage
jise samajhte ho bharpur zindagi se 'fahim'
qarib jao to kitna luTa luTa sa lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.