KHair ki nazr ki hai ya shar ki
ḳhair kī nazr kī hai yā shar kī
ik ye pūñjī thī zindagī bhar kī
saare raste bujhā diye maiñ ne
ik galī ḳhvāb kī munavvar kī
tujh ko itne to bal maiñ de letā
jitnī shikneñ haiñ mere bistar kī
ye mirā dil ye reg-zār-e-firāq
dekh le aab is samundar kī
piiTh moḌe hue har ik dīvār
bhāgnā chāhtī hai is ghar kī
KHair ki nazr ki hai ya shar ki
ek ye punji thi zindagi bhar ki
sare raste bujha diye main ne
ek gali KHwab ki munawwar ki
tujh ko itne to bal main de leta
jitni shiknen hain mere bistar ki
ye mera dil ye reg-zar-e-firaq
dekh le aab is samundar ki
piTh moDe hue har ek diwar
bhagna chahti hai is ghar ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.