KHair se farz kuchh ada to ho
ḳhair se farz kuchh adā to ho
jis se raazī tirā ḳhudā to ho
abr-e-rahmat ko josh aa jaa.e
lab pe aisī koī duā to ho
rū-ba-rū hogī ḳhud-baḳhud manzil
gāmzan koī qāfila to ho
chhū to lūñgā bulandiyoñ ko magar
dil meñ pur-josh valvala to ho
dard se āshnā hue to kyā
dard se dil bhī āshnā to ho
ham to taslīm kar hī leñ lekin
haq-ba-jānib vo faisla to ho
zabt-e-ġham ke hī vāste ai 'navāz'
koī bharpūr qahqaha to ho
KHair se farz kuchh ada to ho
jis se raazi tera KHuda to ho
abr-e-rahmat ko josh aa jae
lab pe aisi koi dua to ho
ru-ba-ru hogi KHud-baKHud manzil
gamzan koi qafila to ho
chhu to lunga bulandiyon ko magar
dil mein pur-josh walwala to ho
dard se aashna hue to kya
dard se dil bhi aashna to ho
hum to taslim kar hi len lekin
haq-ba-jaanib wo faisla to ho
zabt-e-gham ke hi waste ai 'nawaz'
koi bharpur qahqaha to ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.