KHairaat baT rahi hai mohabbat ke nam ki
ḳhairāt baT rahī hai mohabbat ke naam kī
bujhne lagī hai pyaas dil-e-tishna-kām kī
dushman ko maiñ ne pyaar se maftūh kar liyā
aa dekh dilkashī tū mire intiqām kī
mujh ko ḳhabar hai is liye maiñ pūchhtā nahīñ
auqāt kyā hai terī nazar meñ ġhulām kī
kuchh to pata chale ki guzārī hai kis ke saath
jo shaam tū ne rakhī thī ik mere naam kī
kis martabe maqām kī chāhat ho us ko dost
lāhaq ho jis ko fikr qayām-o-ta.ām kī
KHairaat baT rahi hai mohabbat ke nam ki
bujhne lagi hai pyas dil-e-tishna-kaam ki
dushman ko main ne pyar se maftuh kar liya
aa dekh dilkashi tu mere intiqam ki
mujh ko KHabar hai is liye main puchhta nahin
auqat kya hai teri nazar mein ghulam ki
kuchh to pata chale ki guzari hai kis ke sath
jo sham tu ne rakhi thi ek mere nam ki
kis martabe maqam ki chahat ho us ko dost
lahaq ho jis ko fikr qayam-o-taam ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.