KHairiyat uski kuchh pata hi nahin
ḳhairiyat us kī kuchh pata hī nahīñ
in dinoñ us se rābta hī nahīñ
mas.ale sirf zer-e-ġhaur rahe
mas.ala koī hal huā hī nahīñ
itnā pahrā hai merī āñkhoñ par
maiñ koī ḳhvāb dekhtā hī nahīñ
sirf āvāz hī sunī hai abhī
āmnā-sāmnā huā hī nahīñ
ek aadat bahut burī hai mirī
maiñ koī baat bhūltā hī nahīñ
KHairiyat us ki kuchh pata hi nahin
in dinon us se rabta hi nahin
masale sirf zer-e-ghaur rahe
masala koi hal hua hi nahin
itna pahra hai meri aankhon par
main koi KHwab dekhta hi nahin
sirf aawaz hi suni hai abhi
aamna-samna hua hi nahin
ek aadat bahut buri hai meri
main koi baat bhulta hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.