KHala-e-fikr ka ehsas arz-e-fan se mila
ḳhalā-e-fikr kā ehsās arz-e-fan se milā
barahnagī meñ nayā lutf pairahan se milā
qadam qadam pe uge zaḳhm-e-ārzū bhī hazār
hazār rañg-e-tamāshā bhī is chaman se milā
baḌhā ke haath kahīñ uljhaneñ hī chhīn na leñ
vo jaam bhī jo mujhe shām-e-anjuman se milā
sahar ko be-khilī kaliyoñ meñ DhūñDhtī hai kiran
jo lutf-e-jalva lajā.ī huī dulhan se milā
usī ke sog meñ baiThā huā huuñ muddat se
jo ek zaḳhm rafīqān-e-ham-vatan se milā
ġhurū-e-ḳhush-nazarī nāzish-e-aqīda-o-rañg
hazār rog usī zom-e-mā-o-man se milā
hujūm-e-yās meñ tahzīb-e-nafs kā āhañg
tirī hī narm-ḳhirāmī ke bāñkpan se milā
vo hausla jo na.ī raah kī talāsh meñ hai
galī galī meñ bhaTaktī huī kiran se milā
har ek haal meñ jiine kā jagmagāne kā shauq
añdherī shab meñ sitāroñ kī anjuman se milā
ishāra fikr ko mahmez hashr-parvar kā
ḳhatā muaaf ho tere hī bāñkpan se milā
ab is shu.ūr ko mahsūr-e-zāt kaise karūñ
shu.ūr zaat ki 'zaidī' baḌe jatan se milā
KHala-e-fikr ka ehsas arz-e-fan se mila
barahnagi mein naya lutf pairahan se mila
qadam qadam pe uge zaKHm-e-arzu bhi hazar
hazar rang-e-tamasha bhi is chaman se mila
baDha ke hath kahin uljhanen hi chhin na len
wo jam bhi jo mujhe sham-e-anjuman se mila
sahar ko be-khili kaliyon mein DhunDhti hai kiran
jo lutf-e-jalwa lajai hui dulhan se mila
usi ke sog mein baiTha hua hun muddat se
jo ek zaKHm rafiqan-e-ham-watan se mila
ghuru-e-KHush-nazari nazish-e-aqida-o-rang
hazar rog usi zom-e-ma-o-man se mila
hujum-e-yas mein tahzib-e-nafs ka aahang
teri hi narm-KHirami ke bankpan se mila
wo hausla jo nai rah ki talash mein hai
gali gali mein bhaTakti hui kiran se mila
har ek haal mein jine ka jagmagane ka shauq
andheri shab mein sitaron ki anjuman se mila
ishaara fikr ko mahmez hashr-parwar ka
KHata muaf ho tere hi bankpan se mila
ab is shuur ko mahsur-e-zat kaise karun
shuur zat ki 'zaidi' baDe jatan se mila
- Book : Nasiim-e-Dasht-e-Aarzoo (Pg. 31)
- Author : Ali jawad Zaidi
- Publication : Ali jawad Zaidi (1982)
- Edition : 1982
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.