KHala-e-zehn ke gumbad mein gunjta hun main
ḳhalā-e-zehn ke gumbad meñ gūñjtā huuñ maiñ
ḳhud apne ahd-e-guzishta kī ik sadā huuñ maiñ
sameT laatā huuñ motī tumhārī yādoñ ke
jo ḳhalvatoñ ke samundar meñ Dūbtā huuñ maiñ
tumheñ bhī mujh meñ na shāyad vo pahlī baat mile
ḳhud apne vāste ab koī dūsrā huuñ maiñ
jo de sako to ḳhunuk saa.e do mohabbat ke
ḳhayāl-o-ḳhvāb kī duniyā meñ jal rahā huuñ maiñ
vo ḳhud mujhī meñ kahīñ kho gayā na ho 'āzād'
jise ḳhalā-e-zamāna meñ DhūñDtā huuñ maiñ
KHala-e-zehn ke gumbad mein gunjta hun main
KHud apne ahd-e-guzishta ki ek sada hun main
sameT lata hun moti tumhaari yaadon ke
jo KHalwaton ke samundar mein Dubta hun main
tumhein bhi mujh mein na shayad wo pahli baat mile
KHud apne waste ab koi dusra hun main
jo de sako to KHunuk sae do mohabbat ke
KHayal-o-KHwab ki duniya mein jal raha hun main
wo KHud mujhi mein kahin kho gaya na ho 'azad'
jise KHala-e-zamana mein DhunDta hun main
- Book : Dasht-e-Sada (Pg. 117)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.