KHala ki had ko tum to par karte karte thak gae
ḳhalā kī had ko tum to paar karte karte thak ga.e
rasūl-e-pāk ek pal meñ lā-makāñ talak ga.e
tajalliyoñ meñ aap kī kuchh aisī āb-o-tāb thī
nigār-ḳhāne meñ lage sab aa.ine darak ga.e
pahāḌ jaisī zindagī kaTe to kis tarah kaTe
nibāhne kī baat thī vo do hī din meñ thak ga.e
amiir apne Tāmiyoñ ko de rahe haiñ duudh ghī
ġharīb ḳhushk roTiyoñ ke vāste bhaTak ga.e
pata nahīñ ki kyā huā thā apnī is zabān ko
ki un se guftugū meñ ham ka.ī dafa aTak ga.e
unhīñ ko mil rahe haiñ aaj tamġha-e-bahādurī
ba-vaqt-e-jang jo hamārī oT meñ dubak ga.e
KHala ki had ko tum to par karte karte thak gae
rasul-e-pak ek pal mein la-makan talak gae
tajalliyon mein aap ki kuchh aisi aab-o-tab thi
nigar-KHane mein lage sab aaine darak gae
pahaD jaisi zindagi kaTe to kis tarah kaTe
nibahne ki baat thi wo do hi din mein thak gae
amir apne Tamiyon ko de rahe hain dudh ghi
gharib KHushk roTiyon ke waste bhaTak gae
pata nahin ki kya hua tha apni is zaban ko
ki un se guftugu mein hum kai dafa aTak gae
unhin ko mil rahe hain aaj tamgha-e-bahaduri
ba-waqt-e-jang jo hamari oT mein dubak gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.