KHala mein ghur raha hai ajib aadmi hai
ḳhalā meñ ghuur rahā hai ajiib aadmī hai
ajab talab meñ paḌā hai ajiib aadmī hai
yahāñ to bole binā baat hī nahīñ bantī
sukūt bech rahā hai ajiib aadmī hai
maiñ us ko chhoḌ rahā huuñ ajiib aadmī huuñ
vo merā saaya banā hai ajiib aadmī hai
abhī yahīñ thā abhī dekh to kahīñ bhī nahīñ
ye aadmī ki havā hai ajiib aadmī hai
maiñ jis kā dhyān baTātā rahā huuñ mushkil meñ
mujhe vo bhuul rahā hai ajiib aadmī hai
KHala mein ghur raha hai ajib aadmi hai
ajab talab mein paDa hai ajib aadmi hai
yahan to bole bina baat hi nahin banti
sukut bech raha hai ajib aadmi hai
main us ko chhoD raha hun ajib aadmi hun
wo mera saya bana hai ajib aadmi hai
abhi yahin tha abhi dekh to kahin bhi nahin
ye aadmi ki hawa hai ajib aadmi hai
main jis ka dhyan baTata raha hun mushkil mein
mujhe wo bhul raha hai ajib aadmi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.