KHala se inKHila tak chal ke aae
ḳhalā se inḳhilā tak chal ke aa.e
ham apne nāḳhudā tak chal ke aa.e
ghuTan dil meñ baserā chāhtī thī
qadam dasht-e-balā tak chal ke aa.e
husainī pyaas ko sochā thā maiñ ne
samundar nainvā tak chal ke aa.e
use kahnā mohabbat muztarib hai
use kahnā ḳhudā tak chal ke aa.e
ham apnī zaat meñ bahlol 'hāris'
saḳhā kī intihā tak chal ke aa.e
KHala se inKHila tak chal ke aae
hum apne naKHuda tak chal ke aae
ghuTan dil mein basera chahti thi
qadam dasht-e-bala tak chal ke aae
husaini pyas ko socha tha main ne
samundar nainwa tak chal ke aae
use kahna mohabbat muztarib hai
use kahna KHuda tak chal ke aae
hum apni zat mein bahlol 'haaris'
saKHa ki intiha tak chal ke aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.