KHalaon mein hamein khona nahin hai
Interesting Fact
شمس الرحمن فاروقی کی غزل سے متاثر ہو کر
ḳhalāoñ meñ hameñ khonā nahīñ hai
zamīñ kā bhī magar honā nahīñ hai
ajab ahvāl hai imroz apnā
bahut hai ġham magar ronā nahīñ hai
baḌī duniyā hai ham bhī jānte haiñ
magar apnā to ik konā nahīñ hai
hamīñ se māñgtā hai phal zamāna
hameñ to biij hī bonā nahīñ hai
kareñ kyā jānvar bīmār hai par
hamāre haath kuchh Tonā nahīñ hai
hamāre falsafe meñ haañ nahīñ gar
to hoñToñ par bhī apne nā nahīñ hai
KHalaon mein hamein khona nahin hai
zamin ka bhi magar hona nahin hai
ajab ahwal hai imroz apna
bahut hai gham magar rona nahin hai
baDi duniya hai hum bhi jaante hain
magar apna to ek kona nahin hai
hamin se mangta hai phal zamana
hamein to bij hi bona nahin hai
karen kya jaanwar bimar hai par
hamare hath kuchh Tona nahin hai
hamare falsafe mein han nahin gar
to honTon par bhi apne na nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.