KHalish baKHshi tapish baKHshi gudaz apna diya maine
KHalish baKHshi tapish baKHshi gudaz apna diya maine
Ehsan Darbhangavi
MORE BYEhsan Darbhangavi
ḳhalish baḳhshī tapish baḳhshī gudāz apnā diyā maiñ ne
mizāj-e-husn ko bhī kar diyā ġham-āshnā maiñ ne
ḳhirad ne chārasāzī kī junūñ ne rahnumā.ī kī
baḌī mushkil se paayā sāya-e-zulf-e-rasā maiñ ne
ḳhajil huuñ maiñ ki ehsās-e-farāġhat chhīn kar tum se
ġham-e-ārā.ish-e-kākul tumheñ kyoñ de diyā maiñ ne
havā.eñ tund mausam nā-muvāfiq bāġhbāñ barham
ajab aalam meñ rakkhī hai nasheman kī binā maiñ ne
ilāj-e-dard-e-dil mushkil thā lekin ho gayā āsāñ
mohabbat ko ḳhudī kā ik nayā nusḳha diyā maiñ ne
maiñ kahtā thā ki aql-o-ishq meñ rishta nahīñ mumkin
magar ab sochtā huuñ ye garebāñ kyoñ siyā maiñ ne
ḳhudā kā shukr hai 'ehsān' is daur-e-tanaffur meñ
farāham kar liye haiñ chand arbāb-e-vafā maiñ ne
KHalish baKHshi tapish baKHshi gudaz apna diya main ne
mizaj-e-husn ko bhi kar diya gham-ashna main ne
KHirad ne chaarasazi ki junun ne rahnumai ki
baDi mushkil se paya saya-e-zulf-e-rasa main ne
KHajil hun main ki ehsas-e-faraghat chhin kar tum se
gham-e-araish-e-kakul tumhein kyon de diya main ne
hawaen tund mausam na-muwafiq baghban barham
ajab aalam mein rakkhi hai nasheman ki bina main ne
ilaj-e-dard-e-dil mushkil tha lekin ho gaya aasan
mohabbat ko KHudi ka ek naya nusKHa diya main ne
main kahta tha ki aql-o-ishq mein rishta nahin mumkin
magar ab sochta hun ye gareban kyon siya main ne
KHuda ka shukr hai 'ehsan' is daur-e-tanaffur mein
faraham kar liye hain chand arbab-e-wafa main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.