ḳhalish-e-ḳhār ho vahshat meñ ki ġham TuuT paḌe
par phaphūloñ meñ ilāhī na mire phuuT paḌe
din do-pahre hī shafaq-e-shām jahāñ meñ phūle
āsmāñ par lab-e-lālīñ ke agar chhūT paḌe
dam nikal jaa.e ḳhafā ho ke ġham-e-kākul meñ
jo paḌe halq meñ phandā vo galā ghuuT paḌe
hijr-e-sāqī meñ dahan se mire uchchhū ho kar
jo piyūñ āb-e-baqā bhī vo nikal ghuuT paḌe
hurmat-e-bint-e-inab meñ nahīñ kuchh shak ai 'shād'
vā.izīñ behuda bakte haiñ bakeñ chhūT paḌe
KHalish-e-KHar ho wahshat mein ki gham TuT paDe
par phaphulon mein ilahi na mere phuT paDe
din do-pahre hi shafaq-e-sham jahan mein phule
aasman par lab-e-lalin ke agar chhuT paDe
dam nikal jae KHafa ho ke gham-e-kakul mein
jo paDe halq mein phanda wo gala ghuT paDe
hijr-e-saqi mein dahan se mere uchchhu ho kar
jo piyun aab-e-baqa bhi wo nikal ghuT paDe
hurmat-e-bint-e-inab mein nahin kuchh shak ai 'shad'
waizin behuda bakte hain baken chhuT paDe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.