Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHalish-e-nihan ki wo lazzaten tumhein yaad hon ki na yaad hon

Shariq Merthi

KHalish-e-nihan ki wo lazzaten tumhein yaad hon ki na yaad hon

Shariq Merthi

MORE BYShariq Merthi

    ḳhalish-e-nihāñ vo lazzateñ tumheñ yaad hoñ ki na yaad hoñ

    vo nafas nafas meñ qayāmateñ tumheñ yaad hoñ ki na yaad hoñ

    kabhī qurbatoñ meñ ye dūriyāñ ki zabān dil na kah sake

    kabhī dūriyoñ meñ bhī qurbateñ tumheñ yaad hoñ ki na yaad hoñ

    vo junūn-e-shauq mastiyāñ vo niyāz-o-nāz garmiyāñ

    vo nazar nazar meñ hikāyateñ tumheñ yaad hoñ ki na yaad hoñ

    kabhī shikva-hā-e-itāb meñ bhī hazār shukr jhalkiyāñ

    kabhī shukr meñ bhī shikāyateñ tumheñ yaad hoñ ki na yaad hoñ

    vo tumhārā 'shāriq'-e-be-navā ki nahīñ hai jis koī yahāñ

    vo vafā us hikāyateñ tumheñ yaad hoñ ki na yaad hoñ

    KHalish-e-nihan ki wo lazzaten tumhein yaad hon ki na yaad hon

    wo nafas nafas mein qayamaten tumhein yaad hon ki na yaad hon

    kabhi qurbaton mein ye duriyan ki zaban dil ki na kah sake

    kabhi duriyon mein bhi qurbaten tumhein yaad hon ki na yaad hon

    wo junun-e-shauq ki mastiyan wo niyaz-o-naz ki garmiyan

    wo nazar nazar mein hikayaten tumhein yaad hon ki na yaad hon

    kabhi shikwa-ha-e-itab mein bhi hazar shukr ki jhalkiyan

    kabhi shukr mein bhi shikayaten tumhein yaad hon ki na yaad hon

    wo tumhaara 'shaariq'-e-be-nawa ki nahin hai jis ka koi yahan

    wo wafa ki us ki hikayaten tumhein yaad hon ki na yaad hon

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now