KHalish hai KHwab hai aadhi kahani hai
ḳhalish hai ḳhvāb hai aadhī kahānī hai
hamārī baat to bas aanī jaanī hai
samundar se tumheñ vahshat hai kyoñ itnī
ise chhū kar to dekho sirf paanī hai
maiñ kuchh bhī pūchh luuñ kyā farq paḌtā hai
tumheñ to baat hī koī banānī hai
zarā batlāo tum kis kis se milte ho
tumhāre shahr meñ kitnī girānī hai
tumheñ duniyā se matlab hai mujhe tum se
to phir ye kis tarah kī ham-zabānī hai
ham is pahlū se bhī to soch sakte haiñ
sitāra raat kī pahlī nishānī hai
zamīñ ko aate jaate mausamoñ se kyā
use to aag miTTī se bujhānī hai
sabhī haiñ surḳh-rū apnī adālat meñ
kisī ne kab kisī kī baat maanī hai
KHalish hai KHwab hai aadhi kahani hai
hamari baat to bas aani jaani hai
samundar se tumhein wahshat hai kyon itni
ise chhu kar to dekho sirf pani hai
main kuchh bhi puchh lun kya farq paDta hai
tumhein to baat hi koi banani hai
zara batlao tum kis kis se milte ho
tumhaare shahr mein kitni girani hai
tumhein duniya se matlab hai mujhe tum se
to phir ye kis tarah ki ham-zabani hai
hum is pahlu se bhi to soch sakte hain
sitara raat ki pahli nishani hai
zamin ko aate jate mausamon se kya
use to aag miTTi se bujhani hai
sabhi hain surKH-ru apni adalat mein
kisi ne kab kisi ki baat mani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.