KHalish sukun ka mudawa nahin to kuchh bhi nahin
ḳhalish sukūñ kā mudāvā nahīñ to kuchh bhī nahīñ
shikast-e-sāz meñ naġhma nahīñ to kuchh bhī nahīñ
jise zamāna kahe iztirāb kā aalam
vo zindagī kā sahārā nahīñ to kuchh bhī nahīñ
sarod-e-bāñg-e-mo.azzin nahīñ dalīl-e-sahar
mizha pe sub.h kā taarā nahīñ to kuchh bhī nahīñ
huā kareñ tire kaan āshnā-e-shor-e-jaras
safar kā dil meñ irāda nahīñ to kuchh bhī nahīñ
ye maanā qalb-e-zamīñ tak tirī pahuñch hai magar
talāsh-e-auj-e-surayyā nahīñ to kuchh bhī nahīñ
hamāre butkada-e-dil meñ DhūñD to zāhid
yahīñ kahīñ tirā kaaba nahīñ to kuchh bhī nahīñ
KHalish sukun ka mudawa nahin to kuchh bhi nahin
shikast-e-saz mein naghma nahin to kuchh bhi nahin
jise zamana kahe iztirab ka aalam
wo zindagi ka sahaara nahin to kuchh bhi nahin
sarod-e-bang-e-moazzin nahin dalil-e-sahar
mizha pe subh ka tara nahin to kuchh bhi nahin
hua karen tere kan aashna-e-shor-e-jaras
safar ka dil mein irada nahin to kuchh bhi nahin
ye mana qalb-e-zamin tak teri pahunch hai magar
talash-e-auj-e-surayya nahin to kuchh bhi nahin
hamare butkada-e-dil mein DhunD to zahid
yahin kahin tera kaba nahin to kuchh bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.