KHalq se pahle bata de kya tera mauzua hai
ḳhalq se pahle batā de kyā tirā mauzūa hai
chitrkārā sun yahāñ tāza-kashī mamnūa hai
phuul nazzāre se aage raushnī karne kī shai
rañg kī kārī-garī meñ aag bhī majmūa hai
dasht meñ ai shah tirī hargiz amal-dārī nahīñ
ye azā-ḳhāna dayār-e-hukm se marfūa hai
zā.icha-sāzā hamāre ḳhvāb kī taqtī.a kar
fāl-gīrā ye batā kyā ab duā masmūa hai
vahm kā sūraj huuñ merā kyā ta.ayyun ho sake
is tayaqqun-gāh meñ merī kiran maqtūa hai
jal bujhī hogī kisī Dherī meñ sarkañDoñ kī aag
kātib-e-man hausla rakh ab suḳhan matbūa hai
KHalq se pahle bata de kya tera mauzua hai
chitrkara sun yahan taza-kashi mamnua hai
phul nazzare se aage raushni karne ki shai
rang ki kari-gari mein aag bhi majmua hai
dasht mein ai shah teri hargiz amal-dari nahin
ye aza-KHana dayar-e-hukm se marfua hai
zaicha-saza hamare KHwab ki taqtia kar
fal-gira ye bata kya ab dua masmua hai
wahm ka suraj hun mera kya tayyun ho sake
is tayaqqun-gah mein meri kiran maqtua hai
jal bujhi hogi kisi Dheri mein sarkanDon ki aag
katib-e-man hausla rakh ab suKHan matbua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.