Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHalwat mein jo dil-dar ki wahshat nahin karte

Jaani Lakhnavi

KHalwat mein jo dil-dar ki wahshat nahin karte

Jaani Lakhnavi

MORE BYJaani Lakhnavi

    ḳhalvat meñ jo dil-dār vahshat nahīñ karte

    vo rāh-e-tasavvuf meñ karāmat nahīñ karte

    Thokar meñ paḌā rahtā hai ye 'ālam-e-rangīñ

    dīvāne to mar jaate haiñ bai'at nahīñ karte

    maqbūl-e-ḳhudā hone chāhat meñ ham aise

    dil khol ke dushman se bhī nafrat nahīñ karte

    ham ghar faqat jaa.eñ nahīñ aisā nahīñ hai

    sahrā bhī chale jaate haiñ bid'at nahīñ karte

    kyā dekh rahā hai is andāz-e-hunar ko

    ham she'r-o-suḳhan bā’is-e-shohrat nahīñ karte

    nazrāne meñ jo sar nahīñ de sakte haiñ 'jānī'

    vo saltanat-e-‘ishq hasrat nahīñ karte

    KHalwat mein jo dil-dar ki wahshat nahin karte

    wo rah-e-tasawwuf mein karamat nahin karte

    Thokar mein paDa rahta hai ye 'alam-e-rangin

    diwane to mar jate hain bai'at nahin karte

    maqbul-e-KHuda hone ki chahat mein hum aise

    dil khol ke dushman se bhi nafrat nahin karte

    hum ghar hi faqat jaen nahin aisa nahin hai

    sahra bhi chale jate hain bid'at nahin karte

    kya dekh raha hai tu is andaz-e-hunar ko

    hum she'r-o-suKHan ba’is-e-shohrat nahin karte

    nazrane mein jo sar nahin de sakte hain 'jaani'

    wo saltanat-e-‘ishq ki hasrat nahin karte

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now