KHalwaton mein baha liya tera gham
ḳhalvatoñ meñ bahā liyā tirā ġham
bazm meñ gungunā liyā tirā ġham
har udāsī pe ik tabassum thā
muskurāhaT se khā liyā tirā ġham
thā kabhī chāk-chāk galiyoñ meñ
ham ne apnā banā liyā tirā ġham
pūchhne par ḳhudā kā shukr kiyā
dhaḌkanoñ ko sunā liyā tirā ġham
'roz' kis tarah zindagī karte
shukr hai ham ne pā liyā tirā ġham
KHalwaton mein baha liya tera gham
bazm mein gunguna liya tera gham
har udasi pe ek tabassum tha
muskurahaT se kha liya tera gham
tha kabhi chaak-chaak galiyon mein
hum ne apna bana liya tera gham
puchhne par KHuda ka shukr kiya
dhaDkanon ko suna liya tera gham
'roz' kis tarah zindagi karte
shukr hai hum ne pa liya tera gham
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.