KHamosh lab hain jhuki hain palken dilon mein ulfat nai nai hai
KHamosh lab hain jhuki hain palken dilon mein ulfat nai nai hai
Shabeena Adeeb
MORE BYShabeena Adeeb
ḳhamosh lab haiñ jhukī haiñ palkeñ diloñ meñ ulfat na.ī na.ī hai
abhī takalluf hai guftugū meñ abhī mohabbat na.ī na.ī hai
abhī na aa.egī niiñd tum ko abhī na ham ko sukūñ milegā
abhī to dhaḌkegā dil ziyāda abhī ye chāhat na.ī na.ī hai
bahār kā aaj pahlā din hai chalo chaman meñ Tahal ke aa.eñ
fazā meñ ḳhushbū na.ī na.ī hai guloñ meñ rañgat na.ī na.ī hai
jo ḳhāndānī ra.iis haiñ vo mizāj rakhte haiñ narm apnā
tumhārā lahja batā rahā hai tumhārī daulat na.ī na.ī hai
zarā sā qudrat ne kyā navāzā ki aa ke baiThe ho pahlī saf meñ
abhī se uḌne lage havā meñ abhī to shohrat na.ī na.ī hai
bamoñ kī barsāt ho rahī hai purāne jāñbāz so rahe haiñ
ġhulām duniyā ko kar rahā hai vo jis kī tāqat na.ī na.ī hai
KHamosh lab hain jhuki hain palken dilon mein ulfat nai nai hai
abhi takalluf hai guftugu mein abhi mohabbat nai nai hai
abhi na aaegi nind tum ko abhi na hum ko sukun milega
abhi to dhaDkega dil ziyaada abhi ye chahat nai nai hai
bahaar ka aaj pahla din hai chalo chaman mein Tahal ke aaen
faza mein KHushbu nai nai hai gulon mein rangat nai nai hai
jo KHandani rais hain wo mizaj rakhte hain narm apna
tumhaara lahja bata raha hai tumhaari daulat nai nai hai
zara sa qudrat ne kya nawaza ki aa ke baiThe ho pahli saf mein
abhi se uDne lage hawa mein abhi to shohrat nai nai hai
bamon ki barsat ho rahi hai purane jaanbaz so rahe hain
ghulam duniya ko kar raha hai wo jis ki taqat nai nai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.