KHamosh lahje mein mujhse dalil karte hue
ḳhamosh lahje meñ mujh se dalīl karte hue
guzar gayā hai vo mujh ko zalīl karte hue
use kaho ki zarā rahm se vo pesh aa.e
lagā.e teġh pe gardan pa Dhiil karte hue
tumheñ ḳhabar hī nahīñ sāmne hī thī manzil
chalā huuñ maiñ hī ye rasta tavīl karte hue
vo ek shaḳhs mirī pyaas dekh kar aksar
barasne lagtā thā āñkhoñ ko jhiil karte hue
laḌegā zehn muqaddame meñ us kī jānib se
saham rahā huuñ maiñ dil ko vakīl karte hue
KHamosh lahje mein mujh se dalil karte hue
guzar gaya hai wo mujh ko zalil karte hue
use kaho ki zara rahm se wo pesh aae
lagae tegh pe gardan pa Dhil karte hue
tumhein KHabar hi nahin samne hi thi manzil
chala hun main hi ye rasta tawil karte hue
wo ek shaKHs meri pyas dekh kar aksar
barasne lagta tha aankhon ko jhil karte hue
laDega zehn muqaddame mein us ki jaanib se
saham raha hun main dil ko wakil karte hue
- Book : Aavaazon Ka Raushandaan (Pg. 43)
- Author : Kuldeep Kumar
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.