KHamosh rah gae guftar tak nahin pahunche
ḳhamosh rah ga.e guftār tak nahīñ pahuñche
hamāre zaḳhm bhī iz.hār tak nahīñ pahuñche
gila nahīñ hai ḳhamoshī kā un hurūf kā hai
suḳhan meñ Dhal ke jo me.aar tak nahīñ pahuñche
tamām ḳhemoñ meñ jalte rahe suḳhan ke charāġh
ġharīb-ḳhāna-e-bīmār tak nahīñ pahuñche
nafī-e-ḳhāk se apnā husūl kyā paate
vo log jo kisī iqrār tak nahīñ pahuñche
ham ahl-e-ḳhvāb the apnī hadoñ meñ jiite rahe
junūn-zār ke asrār tak nahīñ pahuñche
pukārtā rahā koī ḳhudī kī manzil se
ham apne tāla-e-bedār tak nahīñ pahuñche
'tarāz' kaise suḳhan the jo imtihāñ ke liye
tilsim-e-shab ke giraftār tak nahīñ pahuñche
KHamosh rah gae guftar tak nahin pahunche
hamare zaKHm bhi izhaar tak nahin pahunche
gila nahin hai KHamoshi ka un huruf ka hai
suKHan mein Dhal ke jo mear tak nahin pahunche
tamam KHemon mein jalte rahe suKHan ke charagh
gharib-KHana-e-bimar tak nahin pahunche
nafi-e-KHak se apna husul kya pate
wo log jo kisi iqrar tak nahin pahunche
hum ahl-e-KHwab the apni hadon mein jite rahe
junun-zar ke asrar tak nahin pahunche
pukarta raha koi KHudi ki manzil se
hum apne tala-e-bedar tak nahin pahunche
'taraaz' kaise suKHan the jo imtihan ke liye
tilsim-e-shab ke giraftar tak nahin pahunche
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.