hath mein kya nahin ki tum se kahen
haath meñ kyā nahīñ ki tum se kaheñ
ham ko zebā nahīñ ki tum se kaheñ
dil kisī vaj.h se dukhī hai magar
kuchh bhī aisā nahīñ ki tum se kaheñ
zehn uljhā huā hai kuchh din se
lekin itnā nahīñ ki tum se kaheñ
varna ab tak na kah chuke hote
kabhī chāhā nahīñ ki tum se kaheñ
ḳhāmushī ashk rog marg farār
ek rasta nahīñ ki tum se kaheñ
tum ko aatā nahīñ ki ham se kaho
ham se hotā nahīñ ki tum se kaheñ
kahe dete haiñ dil kī baat chalo
ḳhair bantā nahīñ ki tum se kaheñ
yūñhī ik kaifiyat sī hai 'javvād'
koī qissa nahīñ ki tum se kaheñ
hath mein kya nahin ki tum se kahen
hum ko zeba nahin ki tum se kahen
dil kisi wajh se dukhi hai magar
kuchh bhi aisa nahin ki tum se kahen
zehn uljha hua hai kuchh din se
lekin itna nahin ki tum se kahen
warna ab tak na kah chuke hote
kabhi chaha nahin ki tum se kahen
KHamushi ashk rog marg farar
ek rasta nahin ki tum se kahen
tum ko aata nahin ki hum se kaho
hum se hota nahin ki tum se kahen
kahe dete hain dil ki baat chalo
KHair banta nahin ki tum se kahen
yunhi ek kaifiyat si hai 'jawwad'
koi qissa nahin ki tum se kahen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.