KHamoshi bhag nikli hai makan se
ḳhamoshī bhaag niklī hai makāñ se
tirī āvāz aa.ī thī kahāñ se
mirī miTTī ko āḳhir kyā huā hai
ulajhtī jā rahī hai āsmāñ se
'ajab ik rabt hai is vāqa'e kā
kisī bhūlī huī sī dāstāñ se
kināroñ se maiñ baḌhtā jā rahā huuñ
so mujh ko khīñch lo tum darmiyāñ se
KHamoshi bhag nikli hai makan se
teri aawaz aai thi kahan se
meri miTTi ko aaKHir kya hua hai
ulajhti ja rahi hai aasman se
'ajab ek rabt hai is waqa'e ka
kisi bhuli hui si dastan se
kinaron se main baDhta ja raha hun
so mujh ko khinch lo tum darmiyan se
- Book : Wahima Vajood Ka (Pg. 33)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
- Book : Sabhi Rang Tumhare Nikle (Pg. 36)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2017)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.