KHamoshi ka fishaar-e-KHun baDha tha
ḳhamoshī kā fishār-e-ḳhūñ baḌhā thā
mire andar ye kaisā shor uThā thā
ye duniyā haath bāñdhe sāmne thī
magar maiñ āsmāñ ko tak rahā thā
sabā ḳhushbū kā rath laa.ī thī zālim
dil-e-kam-‘aql tū kis jā paḌā thā
na bahr-o-bar na tūl-o-‘arz koī
miyāñ vo ruuh kā juġhrāfiya thā
dahan-basta har ik tashḳhīs niklī
shigāf-e-zaḳhm kaisā be-sadā thā
KHamoshi ka fishaar-e-KHun baDha tha
mere andar ye kaisa shor uTha tha
ye duniya hath bandhe samne thi
magar main aasman ko tak raha tha
saba KHushbu ka rath lai thi zalim
dil-e-kam-‘aql tu kis ja paDa tha
na bahr-o-bar na tul-o-‘arz koi
miyan wo ruh ka jughrafiya tha
dahan-basta har ek tashKHis nikli
shigaf-e-zaKHm kaisa be-sada tha
- Book : Jism Ka Bartan Sard Pada Hai (Pg. 88)
- Author : Ameer Hamza Saqib
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.