KHamoshi mein bhi goyai bahut hai
ḳhamoshī meñ bhī goyā.ī bahut hai
samajhnā ho to tanhā.ī bahut hai
mirā sarmāya yādoñ kī havelī
mirī ḳhātir ye añgnā.ī bahut hai
Dubonā hai to le chal duur mujh ko
kināre par to rusvā.ī bahut hai
mirī gum-nāmiyāñ mash.hūr hoñgī
tumhārā shahr balvā.ī bahut hai
ye duniyā hai ise pahchān 'bismil'
azal hī se ye harjā.ī bahut hai
KHamoshi mein bhi goyai bahut hai
samajhna ho to tanhai bahut hai
mera sarmaya yaadon ki haweli
meri KHatir ye angnai bahut hai
Dubona hai to le chal dur mujh ko
kinare par to ruswai bahut hai
meri gum-namiyan mashhur hongi
tumhaara shahr balwai bahut hai
ye duniya hai ise pahchan 'bismil'
azal hi se ye harjai bahut hai
- Book : مرے تصور میں رنگ بھردو (Pg. 88)
- Author : بسمل عارفی
- Publication : نور پبلی کیشن، دریا گنج،نئی دہلی (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.