KHamoshi un ka tarz-e-guftugu hai
ḳhamoshī un kā tarz-e-guftugū hai
yahī apnā takallum hū-ba-hū hai
zabāñ-bandī guloñ kī kyā karoge
ki ḳhushbū un kī sharh-e-ārzū hai
jise dekhā nahīñ ab tak kisī ne
vahī chehra hamāre chaar sū hai
pas-e-ā.īna hai ye aks kis kā
na jaane kaun mere rū-ba-rū hai
kiyā āñkhoñ ne jo āñkhoñ se shikva
usī kā tazkira ab kū-ba-kū hai
gire haiñ aañkh se jo chand qatre
unhī se dil hamārā bā-vazū hai
ḳhudī kyā hai yaqīñ bas ye ki maiñ huuñ
samundar dil meñ rakkhe aabjū hai
har ik ne āsmāñ apnā sajāyā
har ik is āsmāñ kī aabrū hai
jise ehsās apne husn kā ho
vahī sūraj hai vo hī māh-rū hai
kisī kī yaad ne mahkā diyā dil
har ik dhaḌkan hamārī mushkbū hai
ye saarī umr sāyoñ kā ta.āqub
tujhe kis kī 'hidāyat' justujū hai
KHamoshi un ka tarz-e-guftugu hai
yahi apna takallum hu-ba-hu hai
zaban-bandi gulon ki kya karoge
ki KHushbu un ki sharh-e-arzu hai
jise dekha nahin ab tak kisi ne
wahi chehra hamare chaar su hai
pas-e-aina hai ye aks kis ka
na jaane kaun mere ru-ba-ru hai
kiya aankhon ne jo aankhon se shikwa
usi ka tazkira ab ku-ba-ku hai
gire hain aankh se jo chand qatre
unhi se dil hamara ba-wazu hai
KHudi kya hai yaqin bas ye ki main hun
samundar dil mein rakkhe aabju hai
har ek ne aasman apna sajaya
har ek is aasman ki aabru hai
jise ehsas apne husn ka ho
wahi suraj hai wo hi mah-ru hai
kisi ki yaad ne mahka diya dil
har ek dhaDkan hamari mushkbu hai
ye sari umr sayon ka taaqub
tujhe kis ki 'hidayat' justuju hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.